Buhat nazdeek ho jana bhi shakhsiyat ko masakh kr deta hay. thora fasla tu rehna chahiay darmiyan main.
Ta k hawa ka rasta na bund ho, aur sans lenay main takleef na ho. Amoomun hota bhi yehi hay, jb qurbatain buhat barh jati hain tu ghuttan ka ehsas honay lagta hay, aur phir yeh ghuttan barhti he chali jati hay. yahan tak k dum ghutt he jata hay. taluq koi bhi ho, rishta nata chahay dost ehbab ka ho ya muhabbat ka, zimma dari ka ya hamdardi ka, shukar guzari ka ya ihsan ka aitadal rakhna buhat zaroori hay. Aik had ko qaim rakhna aur apnay dairay main rehna he aik daer paa aur mazboot rishtay ki asaas hay.
Jb hum doston k sath waqt guzartay hain, mehboob k naaz uthatay hain, apnay faraiz ko poora krnay ki fikr main lagay rehtay hain, kisi k dukhoN k madaway ki fikr main ghulay jatain hain, kisi ki ihsan mandi main jhukay chalay jatay hain, ya kisi pr inayat krtay hain, tu ye sb tu aik sehtmand zindagi ki ilamaat hain. Ghalat tu yeh bhe nahi k hm in sb kaar-e-khair main se kisi aik ka intekhab kr letay hain. mushkil tu us waqt hoti hay jb hum sb drwazay, khirkian bnd kr detay hian. aur sirf aik rahdari khuli rakhtay hain, sirf aik shakhs k liay sari tawaja, muhabbat, zimmadari aur inayaat ka haqdar sirf usi ko smjhtay hain. aur baqi sb se be nayaz ho jatay hain. phir jb wo hmaray liay khas ho jata hay tub kahin ja k ehsas hota hay k hm aik maddar main dakhil ho chukay hain aur wo hmaray maddar ka sooraj hay. wo khas ho gya hay, kion k wo tu sooraj hay aur hum khud aam hain is liay k hum tu us k gird chakkar kaat rhay hain.
ye jo hmari anaa hoti hay na, ziada daer ye baat gawara nai krti, insaan ki main ziada daer soi nahi re skti. kion k ye fitri amal hay insan ko khaas hona acha lgta hay lekin masala ye nahi hay. masala tu yeh hay, k hum chahtay hain k hum bhi us aik shakhs k liay khas hoN jis ko hum ne itni ahmiat day rakhi hay. tu darasal ye wo Tawaqqa hay jis k liay insan itni tag-o-do krta phirta hay. jb insan ki ye tawaaqqa poori nahi hoti, uski ana ko thes lagti hay tu ghuttan paida hoti hay, ya tu ailaan e jang hota hay aur baghawat janam leti hay, aur ya phir bebasi jan leva ho jati hay
main agr ab yeh kahoon k tawaqqa lagani he nahi chahiay tu kitabi hisab se tu ye baat so feesad darust hay, lekin aesa kesay ho k hum apnay driver ko zakat k paisay bhi dain aur jb wo btaye bagher chutti kr lay tu
hamain ghussa bhi na aye?
Shakhsiat k poday ko phalnay phoolnay k liay space darkar hoti hay, aur wo space hr insan ka bunyadi haq hy. kisi shohar ko is bat ka haq nahi hay k wo apni bv pr itna havi ho k wo bechari apna aap he bhool jaye. aap kitna arsa kisi pr apna zor chala sktay hain? aap ki taqat sari zindagi tu apka sath nahi de g na. kia waldain ko Khudaye pak ne ye haq dia hay k wo apnay bachon se un k khwab cheen lain? aik daira kar hay mazhab ka, aur wo hr chotay baray, mard aurat sab k liay hay. sb ne usi ko maan-na hay, wo he aik hadd hay jo her kisi na jaiz "behadd" ko rokti hay. Lekin hum sb ko yeh baat jan.nay ki zaroorat hay k hm sb aik doosray se mukhtalif ho sktay hain, hmaray mizaj, hmari pasand, na pasand, hmaray okat-ekar, hmaray passion agar aik doosray se mukhtalif hain tu iska matlab yeh nahi k hmaray illawa hr bnda ghalat hay.
logon ko us trha apnana chahiay jis trha wo hain, un se un k rung na cheenay jaien. aap ziada muhabbat na dain, thori daen, magar sb ko dain, titli apnay rungoN k sath baghon mein he achi lagti hay. pinjray main palnay wala sher bhi kuch arsay bad kutta ho jata hay. muhabbat bhi azadi jesa aik ehsas hay, issay mehsoos honay dain.
Shukriya
Lahore