Monday, 10 August 2015

Elegy

Ajab ghum ki dhamak! Dil pr parri hay
Udaasi aainoN se jhankti hay
Yeh kis manzar mein tumne sath chorra
Meri tasveer aadhi reh gyii hay

Tumhara hath abhi tu hath pr tha
Achanak aankh meri khul gyii hay
Abhi kal tak falak tha das-taras mein
Aur ab apni zameen bhi ajnabi hay

Fana ke baad bhi khawish hay teri
Musafat hai magar kitni karri hay
Kharray hein saans ki sarhad pe tanha
Humaray darmiyan bas zindagi hay

Wednesday, 5 August 2015

Aurat dar-asl maamta hay. bachpan se burha-pay tak hr roop hr rishtay main chahay wo beti ho, behan ho, biwi ho, wo maa'n he hoti hay. aurat muhabbat main apni maamta ko prwaan charhaati hay. wo muhabbat ko apnay ander paalti hay, duniya se chupa k, barri hifazat se bilkul us trha jesay aik maan apnay bachay ko no maah tk apnay pait main paalti hay. phir jb muhabbat k iqrar/ izhar mein kamyab ho jati hay tu jesay bacha pait se nikal k goad mein aa gya ho. bilkul maan ki trha wo apni muhabbat ki nigehdasht main lag jati hay. wo kabhi is se ghafil nahi hoti, sotay jagtay, dhyan usi ki trf lga rehta hay. jesay maan khayal rakhti hay apnay bachay ki bhook piyas ka, seenay se lagaye rakhti hay, choomti hay aur roz usay bara hota dekh k, parwan charhta dekh k khush hoti hay aur apnay Rabb ka shukr adaa krti hay.
Mard maarka araa hotay hain. muhabbat bhi kisi maarkay ki trha injam detay hain. goya muhabbat na hui jang hui. aik challenge. anaa ka mas-ala. aurat ka dil bhi sar zameen-e-ghair ki trha fatah kia, apnay naam k jhanday gaarray, char din fatah ka jashan mnaya aur aagay nikal gaye. nai manzilon ki talash main naye challenges k shoq mein. mard k liay guzishta muhabbatein medals aur trophies ki trha hoti hain. jinhain roz nigehdasht ki zaroorat nahi hoti. bas kabhi kabhar unki taraf nazar parr jaye tu fakhar se sr buland kia, muskuraye aur bass. Mard fitratan muhabbat main tauheed ka qayl nahi hay. aur issay aesa krnay pr majboor bhi nahi kia ja skta. Aik aurat ki muhabbat kafi nahi parti chahay wo apni haddion ka ras nikal k bhi pila day, tab bhi nahi. un k liay buhat kabhi kaafi nahi hota.
buhat tu aurat k liay bhi kafi nahi hota. wo jaan nisar krna chahti hay aur buhat krna chahti hay. pr is k liay usay bass aik sooraj chahiay jo usay hayat bakhshay, jeenay ki waja, muhabbat krnay ki waja, hiddat, hararat, roshni aur tawanaii.

Tuesday, 5 May 2015

dil e muztar ko, smjhaya buhat hay
magar is dil ny, tarrpaya buhat hay

qayamat hay ye tarq e aarzoo bhi
mujhay aksar wo yaad aaya buhat hay

rah e hasti k is jaltay safar main
tumhari yaad ka saya buhat hay

Wednesday, 4 March 2015

Zindagi se yehi gila hai mujhay
Tu buhat dair se mila hai mujhay

Tu muhabbat se koi chaal to chal
Haar janay ka hosla hai mujhay

Hum-safar chahiay hujoom nahi
Aik musafir bhi qafila hai mujhay

Dil dharakta nahi sulagta hai
Woh jo khwahish thi aabla hai mujhay

Lab kusha hoon tu iss yaqeen k saath
Qatal honay ka hausla hai mujhay

Kaun janay k chahto'n may Faraz
Kya ganwaya hai kya mila hai mujhay!

Sunday, 22 February 2015


کیا ضروری ہے؟ مصلے پہ فقط زاہد ہو
رونے والا کوئی مے خوار بھی ہوسکتا ہے

Thursday, 12 February 2015


khwab nagar k
sb rastoN pr pehray hongay
meray qadmon ki ahat
pehchantay ho tum
Meray hath ki dastak ko imkan main rakhna
mujh se tum tk
band darwazay kholtay rehna
mujhse boltay rehna

hm dono k beach mein chahay
jitnay mausam aein
toofanoN mein ghiri ho naao
doltay rehna
pr
mujhse boltay rehna

Thursday, 29 January 2015

Boloun agar mein jhut to mar jaye ga zameer!
Keh doun agar mein sach! to mujhe maar deinge log!
Ghalib hmain na chairr k phir josh e ashk se
bethay hain hum tahayya e toofan kiay huay

Monday, 26 January 2015

Meray bacho!

Meray bacho!

Duniya mein do baatein kabhi ikathi nahi ho sktiin. Meri baat dhayan se sun’na is liay k mujhay nahi maloom k dubara kabhi aesi majlis ho, hum sb ki, ya nahi. Jesay aaj tum sb meray aas paas bethay ho. Hmesha yad rakhna, aur mushahida krna. 

Aik ye k koi insaan ander se acha ho….. 

“Ander se acha”, aur hm sb jantay hain ander se acha hona kia hay. Authentic, seedhay rastay pr… duniya ki nazar main nahi eman ki nazar mein…..

Han, tu aik ye k koi insaan ander se acha ho aur kamyab na ho aesa kabhi nahi ho skta.

Aur doosra, ye k koi insaan ander se bura ho, mein smjhta hoon mujhay apko smjhanay ki zaroorat nahi k ander se bura hona kia hay, wo insaan jo ander se bura ho wo kabhi falah nahi paa skta na duniya main na akharat main.

Tu meray bacho, apnay ander naik iraday, naik khayalat ki fasal bo do. Kl ko phal tum bhi khao gay aur ird gird k log bhi faiz yab hongay.

Aur jo koi, bad niyati, kam-chori, buray ikhlaq ko apna asloob bnata hay wo sari zindagi tangi, museebaton, aur zehni dbao ka ghar bn jata hay. Keekar k pair ka koi faida nahi hay. 

Piyaray bacho! hum pr Allah ne kb karam nahi kia? Main apni sari zindagi ko aik film ki trha sochoon tu main tu aik aik lamhay k liay Khuda ki mehrbani pr Uska shukr ada nahi kr skta. Aur aap log, aap logon ko is chat k neechay sb araam skoon, jo bhi muassar hua, kia wo Khuda ki daen nahi hay? Kia hum mein se kisi ka bhi koi amal aesa hay jo Khuda k is inaam ka mustahiq ho jo hum pr hua hay. Tu Allah Tala tu hum se kuch bhi nahi chahtay siwaye is k k hum achay insan bnain. Aur mein bhi aap se kuch nahi chahta siwaye is k k aap meri achi pehchan bno. Aik doosray ki pehchan bno. ba haisiyat aik fard k jb tum achay insan bno gay, tu ye muashra acha ho jaye ga, aur hm sb ka khwab aik acha falahi muashra he tu hay. Apnay apnay kaam mein naik niyati shamil kr lo wo ibadat bn jaye ga.


Allah apkay kaamon mein asani paida kray. Khush rho!