Wednesday 14 October 2015


Aik sang tarash jis ny barsoN
HeeroN ki tarha sanam tarashay
Aaj apnay sanam kaday mein tnhaa
Majboor,  nidhal, zakhm khoorda
Din raat parra krah.ta hay
Hmaray atraaf mein
Mehktay huay phooloN ki
Maxeed afzaish honi chahiay
DarakhtoN mein lagay phal
Taza pattaoN mein jazb ho jaein
Wagarna baad mein
Sarray huay rag o resha k siwa
Kia reh jaye ga


Na tamam Musafat

itna dukh, kitna dukh

yahan buhat dard hay, meray dil main, be-chaini hay, aag hay, izterab hay. dukh denay waloN ki kaifiyat aesi honi bhi chahiay.
.... per aesa nahi hay, main dukh nahi dena chahti. aur isi liay tnha dard sehti rehti. baat niyat ki hay tu sirf Khuda aur banday k beech mein hay, makhlooq e khuda sirf kartoot dekhti hay.









kuch log buhat terhay hotay hain, aur aesay logoN ko seedha krnay ki koshish bhi nahi krni chahiay. bas daman bacha k guzar jana chahiay, unko seedha krtay krtay kahin aap he na toot jaein.

jin batoN ki samajh na aye un mein khud ko na uljhaein, tawaja na daein aesi batoN pr.

koi tumharay baray mein baat krta hay, tumhara naam leta hay, iska ye hargiz matlab nahi k wo is baat se khush hay, bulkay ye baat buhat taklif deh hoti ho g. main janti hoon.

apnay sukh k liay kisi aur ka sukh barbad krna kahaN ki insaniyat.





Aaj kuch likha nai ja rha.

Sunday 11 October 2015

LazzatoN mein jal gaye
Khush-numa titli k par
Kisi k sath saya tk nhi hay
Kisi k sath hay duniya kisi ki

Saturday 10 October 2015

Tazad

wo
jo tum se kehti hay
k usko farq nahi parta
kisi k aanay janay say
milnay aur bicharnay se
aadhi aadhi baaton se
sachay jhootay waadoN se

shayd wo sach kehti ho, pr
Rabb janta hay
raat k sannatoN main chup kr
koi hook-ta hay.

Sobia
10-10-15

Wednesday 30 September 2015

Na koi muntazir apna
Na koi alvida kehnay pe ghamgeeN

Sunday 27 September 2015

auratoN ko aansoo ki nemat na mili hoti tu pehlay he heart attack se kitna jadli mar jatien.

Tuesday 22 September 2015

wo tu khushbu hay hawaoN mein bikhar jaye ga
mas-ala phool ka hay phool kidher jaye ga