Thursday, 28 April 2016

mulaayam garm samjhote kii chaadar


mulaayam garm samjhote kii chaadar

ye chaaddar mainay barsoN mein bunii hay
kahiiN bhi sach ke gul booTay nahiiN hain
kisi bhi jhoot ka TaaNka nahiiN hay

isi se main bhi tan dhak loongii apna
isi se tum bhi aasooda raho gay
na khush hogay, na paz-murda rahogay

isi ko taan kr ban jaaye ga ghar
bichha lein gay to khil uTThay ga aaNgan
uThaa lein gay to gir jaayegi chilman.

Wednesday, 20 April 2016

Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta
Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein
Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta

Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta
Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main
Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien

Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se
Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain
Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se

Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh
BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri
Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar
Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi

Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai

Wednesday, 3 February 2016



ہم انجمن میں سب کی طرف دیکھتے رہے
اپنی طرح سے کوئی اکیلا نہیں ملا

آواز کو تو کون سمجھتا کہ دور دور
خاموشیوں کا درد شناسا نہیں ملا

Friday, 15 January 2016

Daam

kiyun kho gaey woh lamhe
kahaan kho gaey woh lamhe
rishton ke woh silsile
kahaan kho gaey woh lamhe
zara sa socho gi ruk ke agar tum
ja na pao gi mujh se alag tum
lambi dopehron mein peyrron ki chaaon
kya bhool pao gi tum


jhoot hai sabhi, saccha kuch nahi
dhoka yaara tha
na jaana tumhain, na samjha tumhain
dhoka yaara tha
naata na tha, rishta na tha
khuwaab tha, toot gaya
paagal ho tum, choro zid yeh
khuwaab tha, toot gaya
raste alag, manzil juda
phir rona kya


aitebaar tha jo ikhteyaar tha
rookha yaara tha
bhool main gai, yaad kuch nahi
dhoka yaara tha
naata na tha
rishta na tha
khuwaab tha, toot gaya
paagal ho tum, choro zid yeh
khuwaab tha, toot gaya
raste alag, manzil juda
phir rona kya


kiyun kho gaey woh lamhe
kahaan kho gaey woh lamhe
rishton ke woh silsile
kahaan kho gaey woh lamhe
zara sa socho gi ruk ke agar tum
ja na pao gi mujh se alag tum
lambi dopehron mein peyrron ki chaaon
kya bhool pao gi tum

silvatein

neendon se uljhi hain maazi ki yadain
palkon pe chubti hain rishton ki silvatein

lehjay ki sardi
wo baaton ki garmi
muhabbat ka dhoka
wo doori ki khunki
dhokay ka khanjar
wo marham mein sholay
bahanay puranay
wo shikwaya niralay

neendon se uljhi hain batain tumhari
silvaton mein chubti hain yadain tumhari

silvaton mein chubti hain yadain tumhari


Sunday, 10 January 2016

....
kahin kuch bhi nahi badla
tumharay hath meri unglioN mein saans letay hain
mein likhnay k liay jb bhi qalam kaghaz uthaata hoon
tumhain betha hua main apni he kursi mein pata hoon
badan mein mere jitna bhi lahu hay
wo tumhari
laghzishoN nakamiyon ke sath behta hay
meri awwaz mein chup kr
tumhara zehn rehta hay
meri bemarion mein tum
meri la-charion mein tum
tumhari qabr pr jis ne tumhara naam likha hay
wo jhoota hay
tumhari qabr mein main dafn hoon
tum mujh mein zinda ho
kabhi fursat milay tu fateha parhnay chlay aana

Tuesday, 22 December 2015

zawal e muhabbat




ik yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai 
dosto main kise ye soz-e-nihan nazar karon
koi qatil sar-e-maqtal nazar aata hi nahin
kis ko dil nazar karon aur kise jaan nazar karon?
tum bhi mahboob mere tum bhi ho dildaar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahin tum bhi nahin 
khatam hai tum pe maseeha-nafasi chaaragari
mehram-e-dard-e-jigar tum bhi nahin tum bhi nahin 
apni laash aap uthana koi aasaan nahin
dast-o-baazo mere naakaara hoe jaate hain
jin se har daur mein chamaki hai tumhari dahleez
aaj sajde wohi aavara hoe jaate hain
door manzil thi magar aisi bhi kuchh door na thi 
leke phirti rahi raste hi mein vahshat mujh ko
ek zakham aisa na khaya ke bahar aa jati
daar tak leke gaya shauq-e-shahadat mujh ko
raah mein toot gaye paaon to maaloom hua
juz mere aur mera rah-numa koi nahin 
ek ke baad Khuda ek chala aata tha
keh diya aql ne tang aake Khudaa koi nahin


a new chapter begins here. after another set back, another failure. life goes on....