Saturday 8 June 2024

kitni muddat baad milay ho. 
tanha tanha kion rehtay ho. 
pagal ho kia ghar ko aao... 
akhir apna jee behlao.
tanha rehna theek nahi hay...
 rotay rehna theek nhi hay...
meri janib aatay rastay 
saray k saray khol diay hain. 
tum aao tu sawan aaye,,, 
bheegain rastay bheegain aanchal. 
tanhai ka rog bura hay.
 apnay dil ko rog na dalo....
duniya mein rehna tu hay na,,, 
jeena bhi tum seekh he lo gay..
itna ghussa itni khafgi.. 
le kr akhir kia karo gay... 
hum tum dono sath rhain gay... 
sookhi roti achi lagay g...
apnay ghar ki baat alag hay... 
des praya kb apna hay... 
choro saray un dekhay rastay... 
khushion k darbaar mein aao... 
piyar ka apna nghma gaao... 
khul kr apnay par phailaao... 
kb tk apna aaap bhula kr chain ganwa kr 
duniya ki rasmain jorro gay... 
in rasmo ny kb kisi ko 
duniya mein koi naam dia hay... 
tum nay apna aap gnwa kr 
sb kuch apna rol dia hay. 



Monday 27 February 2023

Jeena Parta hay kabhi....

 Jeena parta hay kabhi zarf se kamtar ho kr

bheek dryaoN se maangi hay samander ho kr


han ye tazveer kabhi baat kia krti thi

dekhti rehti hain aankhein jisay pathar ho kr


umer bhar meray tasawur ne tarasha tha jisay

ab wo saya kahin gum ho gya pekar ho kr


mera is ishq main nuqsan hua hay kitna

khud se mehroom hua tujhko muyassar ho kr


meray ehsas pr ghalib he rahi ik wehshat

mushkilain kam na huein ranj ka khoon.gar ho kr


is se behtar hay k it baar utar ja dil mein

kion ulajhta hay meray zakhm say nishtar ho kr


mera dukh ye hay k sab shad smjhtay hain mujhay

is aziyat se mein guzra hoon sukhan.war ho kr

Sunday 20 January 2019

chehray tu ehl e shehr k pur sakoon thay magar
doobay huay zameer preshanioN main thay
phooloN main patharoN ko lapaitay huay Nadeem
masroof yaar log gul afshanioN main thay

Thursday 2 August 2018

Raahi

aik adhoori baat
beech samundar saat
lambi kali raat
raahi khali haath
paar lganay wali
ik Allah ki zaat

Wednesday 6 June 2018

Friday 16 March 2018


piyar gharri bhar ka he buhat hay
jhoota sacha- mat socha kr

dhoop mein tnha kr jata hay
kion ye saya- mat socha kr

apna aap gnwa kr tu nay
paya hay kia- mat socha kr

mar jaye ga matt socha kr

Friday 29 December 2017

Tum kabhi na rona, Allah kray tumhari aankh mein kabhi ansoo na aye. aur tumhara hath kabhi na jalay. na thorra na ziada. pata hay kabhi kabhi jb mera hath jl jata hay na pakoray bnatay huay, roti bnatay huay, ya piyaz bhoontay huay, tu mujhay buhat takleef hoti hay, baaz dafa nishan bn jata hay phir lgta hay k ye kabhi nahi jaye ga, lekin haftay das sin mein sab theek ho jata hay.... aur ye silsila chalta rehta hay. mein kabhi kabhi ziada ghbra jati hoon... ronay lg jati hoon, lekin Allah kray tum kabhi nahi ro. tumharay hath pr kabhi jalnay ka nishan na bnay.
pta hay do din pehlay mainay buhat ziada garm chaye p li. buhat garm, thundd itni thi k mujhay chaye ki garmi ka andaza he na hua, meri zuban se le kr halaq tk sb jl gya. kitni takleef hui. aur main roii bhi nahi. phir mujhay bukhar ho gya. sari raat jism tapta rha. mein kb roi aur kb soi, mujhay nahi pta. sirf do din lagay aur takleef chali gaii.
pta hay ziada dard kion hota hay, jb takleef ho aur aap izhaar na kr skain.