Showing posts with label Swaiba's Poetry. Show all posts
Showing posts with label Swaiba's Poetry. Show all posts

Thursday 2 August 2018

Raahi

aik adhoori baat
beech samundar saat
lambi kali raat
raahi khali haath
paar lganay wali
ik Allah ki zaat

Sunday 6 December 2015


Diay aankhoN mein jaltay hain
Khwab aanay se drta hay
Mein apnay hath se ankhoN ki apni
Band kiay chahta hoon!

Wednesday 4 November 2015

Khaka: Humdard

subh saveray
main apnay ghar se nikloon
bus stop pr
tum aik nazar mujhko dekho
aur main apna rasta kho kr
teray humrah ho jaoon
tum jahan murro, mein murr jaoon
tum jahan ruko, mein ruk jaoon
tum phir chal do, mein bhi chal doon
jitna tez chalain hum dono
rasta utna lamba ho
hum dono k beech main
ik chup ho aur ik saya ho
kabhi tapti sarrak
kabhi nehr kinaray
ghanay darakhtoN k saye mein
tum aagay aagay
mein seher zda si peechay peechay
sham dhalay aur rastay saray
dhundlay parr jaein
tum mujhko aata dekhtay ho
aur apna raasta naaptay ho
phir raat k saaye gehray ho jaein
basti, jungle dhundlay rastay
sb peechay reh jayein
bas rait he rait ho
aur raigistaan k ain wast main
nakhlistan se thorra pehlay
tum ruk jao
main girtay parrtay tum tk puhanchoon
tum aik nazar meray ristay pairon ko dekho
phir mujhse poocho
"itni azeeyat kion leti ho?
ye samnay tu mera ghar hay,
tum apnay ghar ko kion nahi jati?"



Wednesday 21 October 2015

Raat Phir

main sir ko rakh k apnay bazoo'ON pr
dilasa de rhi hoon dheeray dheeray
.... ro rhi hoon

Saturday 10 October 2015

Tazad

wo
jo tum se kehti hay
k usko farq nahi parta
kisi k aanay janay say
milnay aur bicharnay se
aadhi aadhi baaton se
sachay jhootay waadoN se

shayd wo sach kehti ho, pr
Rabb janta hay
raat k sannatoN main chup kr
koi hook-ta hay.

Sobia
10-10-15

Thursday 12 February 2015


khwab nagar k
sb rastoN pr pehray hongay
meray qadmon ki ahat
pehchantay ho tum
Meray hath ki dastak ko imkan main rakhna
mujh se tum tk
band darwazay kholtay rehna
mujhse boltay rehna

hm dono k beach mein chahay
jitnay mausam aein
toofanoN mein ghiri ho naao
doltay rehna
pr
mujhse boltay rehna

Wednesday 10 December 2014

Meray ander tu sb jaga pewast!
Kesay khurchun tera nishaN jana!!

Jism se rooh tk teri jageer
Mera mujh main na kuch bacha jana!!

Zindagi zakhm jesay ho nasoor
Mera har dard la dawa jana!!

Rai-gaN umr ho gaii apni
Aur hasil faqat fana jana!!

Aakhrish shoq ko bhi maut hui
Koi is se hay ma-wra? jana!!

Swaiba EA

Tuesday 9 December 2014

Sub Muhabbat ka ik Pehar hay


Yeh jo palkon pe rim jhim sitaron ka mela saa hay
Yeh jo teray bina koi itna akela saa hai
Zindagi teri yaadon se mehka hua shehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay


Sahilon pe gharonday banaye they hum nay,
tumhain yaad hay?
Rung barish main kaisay urraaye they hum nay,
tumhain yaad hay?

Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, 
tumhain yaad hay?

Koi khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hay neendon k sehra main khwabon ka rasta kahiin
Her khushi aatay jaatay howay waqt ki lehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay

Zindagi dhoop chaoN ka ik khail hay, 
bheerr chat'ti nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, 
raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, 
umer ghat'ti nahin

Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hain kahin shaam say
Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay.

Thursday 21 August 2014

wo


wo
daer gaye
ghar lot-tay he bistar pr girta hay
aur thaka hara gehri neend so jata hay

wo
diary main
apnay khud-sakhta dukh likhti hay
aur skoon se so jati hay

Monday 10 June 2013

Windstorms


You are the wind
and the glass pane
of my window is broken.

I am the wind
and the glass pane
of your window is broken too.



Sobia Ehsan
NUST, H-12, Islamabad.

Saturday 10 November 2012

Emptiness


Walking in emptiness
wondering for meanings
of my being
I find none
joy, pain, light or shadow
but emptiness prevails
and, nowhere to go.
Here I am today,
tomorrow I will be gone.
Longing and suffering
for things- should be done.
Life is disparity
(I hope) breaking into the dawn.






Sobia Ehsan (NUST, H-12, Islamabad)
November 10-11-12

Saturday 22 September 2012

Eternity


And on this path, there befell whatsoever befalls always,
Why lament over it, and why accuse.
And however it came, when oblivion came
Either as an avenger or the aspect of love
This is how we must say adieu.
The sore of heart have gone to their peace, God be praised!
And the sweetness of the lips endures yet, Thank the Lord!
The blessed sleeping the sleep of the blessed
The wanderer taking the pathways once more.
My secret longings,
My dreams and my passions
All the dreams and all the passions which had lived for you
Fail to find the life anew.
Like a song without words,
This neither begins nor ends.
This is eternity.

Sobia Ehsan (NUST, Islamabad)
September, 2012

P.S.: I miss you Abu Ji

Thursday 12 July 2012

Aik Khat


Buhat muddat nahi guzri
Humaray rabt ko tootay huay
Sadian nahi beetien
Tumharay khat ko parhtay he
main pehlay say xiada muztrib, be-chain hoti thi
Tumharay qalm ki jadoogari
tumharay zehn k sb naqsh lafzo'n main smoti thi
Musalsal piyar ki qasmain;
Aadhay adhooray vasl k vaday;
main hr dam khojti rehti;
her aik ik lafz ka mafhoom
khud say poochti rehti.

Magar ye khat!
k is kaghaz k tukray pr
siwaye nam k meray
tumhain kuch bhi nahi soojha.
Ye kitna khoobsurat hay!!


Swaiba EA

Friday 22 October 2010

Meri Zaat K Itnay Chilkay, Itnay Rung

meri zaat k itnay chilkay
itnay pehloo, itnay rung
kuch kachay, kuch pheekay pheekay
meray saray roop nairung

main na-mumkin, mumkin kr doon
main un-honi ko honi keh doon
main foladi, main pur-zorr!
main hansti hoon main gaati hoon
main roshan aur main be khouf
main titli k rangoN wali
piyari piyari, par kamzor!

main darpok kabootar jesi
tanha beth k ronay wali
main gum sum, biklul khamosh
main tareeki, main andheri,
aankhoN se cham cham barsaati
main khud kankar, main talaab!

main barish ka pehla qatra
main khud sookhi matti be-aab
meri zaat k itnay chilkay
meri zaat k itnay rung.

NUST, Islamabad
2010