Showing posts with label Mere Hamdam Mere Dost. Show all posts
Showing posts with label Mere Hamdam Mere Dost. Show all posts

Wednesday, 6 June 2018

Wednesday, 4 November 2015

Khaka: Humdard

subh saveray
main apnay ghar se nikloon
bus stop pr
tum aik nazar mujhko dekho
aur main apna rasta kho kr
teray humrah ho jaoon
tum jahan murro, mein murr jaoon
tum jahan ruko, mein ruk jaoon
tum phir chal do, mein bhi chal doon
jitna tez chalain hum dono
rasta utna lamba ho
hum dono k beech main
ik chup ho aur ik saya ho
kabhi tapti sarrak
kabhi nehr kinaray
ghanay darakhtoN k saye mein
tum aagay aagay
mein seher zda si peechay peechay
sham dhalay aur rastay saray
dhundlay parr jaein
tum mujhko aata dekhtay ho
aur apna raasta naaptay ho
phir raat k saaye gehray ho jaein
basti, jungle dhundlay rastay
sb peechay reh jayein
bas rait he rait ho
aur raigistaan k ain wast main
nakhlistan se thorra pehlay
tum ruk jao
main girtay parrtay tum tk puhanchoon
tum aik nazar meray ristay pairon ko dekho
phir mujhse poocho
"itni azeeyat kion leti ho?
ye samnay tu mera ghar hay,
tum apnay ghar ko kion nahi jati?"



Friday, 12 September 2014

Mere Hamdam Mere Dost



Sobia, hoshmandi (alertness) se ziada kabhi be-ihtiati (carelessness) soodmand useful) sabit hoti hay aur aksar hamaqatoN (mischiefs) ka ajar bhi mil jata hay. saari baat muhabbat main rakh rakhao (etiquettes) ki hay, rawayyay (aattitude) aur ehdaaf (goals) ki hay. yaadoN k dareechay khultay hain tu barri mushkil se band hotay hain. choti se choti aur ghair ehm baat yaad aati hay. aesay jesay k tareek wajood main aas ki kirnaiN .....

taluqat bhi kisi na kisi morr pr khatam ho jatay hain....haan, un k saye kabhi khatam nahi hotay. Kuch rishtoN ko na tu ham qubool krtay hain aur na rad kr sktay hain. Muhabbat ki rahoN main bhi kinaray kinaray chalna parta hay. Dil ko dimagh ki baagoN k qaboo main rakhna parta hay. Barkha rut main sada zindagi barri masoomiat se larkhara jati hay. kuch lamhati tajrubay insaan ki sari zindagi pr muheet ho jatay hain.bas ik haseen yad, lamhay se khilwat roshan, dil bhi abaad aur zehn bhi. Aankh band tu sapna, kholo tu haqeeqat. zindagi k na khatam honay walay safar main mayoosi k andheroN k bawjood roshni k naye jugnoo talash krnay partay hain...

Pta nahi hmaray ikhtiar main zindagi ko forward krnay ka button kion nahi hay, ta k jaan skain k kis ka sath umar bhar ka hay aur kis ka lamhay ka.
Goya hum kainaat ki veranioN main urrtay huay awara zarray hain jin ko na zameen nigalti hay na asmaan sambhalta hay. Phir bhi safar ko beech main nahi chor sktay.

wo   kahaniaN     adhoori   jo     na    ho     skain   g   poori
unhain main bhi kion sunaooN unhain tum bhi kion sunaao

Wednesday, 10 September 2014

Evening in Shahi Mohalla; the world inside Texali Gate, Lahore

Sometimes a real adventure is pursuing something that was never in your bucket list. Well like everybody I also have a long long list of things I want to do before I die. I think that those things will give me real happiness and peace of mind. I am not sure will I ever go on a world tour or at least to Nanga Parbat. I don't know whether my wish of marrying a rich, loving and noble man approx. 10 years elder than me will ever be accomplished. I don't know if I can ever Hifz the Holy Quran and so on. I always keep on thinking once I ll be able to do x y z things only then I can be happy. But today I have realised that there are moments in ones life that give you so much happiness, internal satisfaction and peace that you fail to remain depressed.
This was totally unexpected, unplanned and initially undesired but with the passage of time it turned into a planned, adventurous, and full of fun evening.

The time spent today in the walled city of Lahore (though it was just a gate) is a real treasure for the rest of my life. In this corner of the city the Sun rises when everywhere else it sets of. Instead of working from 8 am to 4 pm the business hours here are 8 pm to 1 am during week days. and 8 pm to 2 am on weekends.
Old City of Lahore; Architecture restored for commercial purpose

The food street here is a restoration to old architecture and a represents cultural heritage of the area. One forgets the taste of the meal as the typical ambience, the music, the aroma and roof top is itself a big treat. I may go there again and again but it will always remind me of my today's trip. I am not going to miss it. I am going to cherish it.
A view of Badshahi Mosque from an Old building nearby. (Photo by: Swaiba EA)
Swaiba EA
Lahore
Sep 9, 2014

Tuesday, 1 July 2014

Mere hamdam, mere dost

meri qismat ko nai raah dikhanay walay
meri qismat main muhabbat ka safar hay k nahi
meray anjaan mehrban ye bta de mujhko
tere khwabon main kahin mera guzar hay k nahi

Dil ki jalti hui veraan si tanhaaii main
tuu kisi narm se jhonkay ki tarha i hay
do gharri ki hay mulaqat magar janay kion
aesay lagta hy k barson ki shanasaii hay


meri be rabt ummeedon ko sajanay wali
dil ki hasrat ka main izhaar bta kesay kroon
mana mushkil hay ye iqrar e muhabbat lekin
apni chahat ka main inkar bta kesay kroon

Mera hamdam hai kisi dhoop main saaye jaisa
Sath chalta hai magar phir b juda rehta hai,
Kacchy dhaagon sy bnaya hai jo rishta dil ny
Toot jaye na kahin darr sa laga rehta hai.. !!

Mere hamdam, mere dost
Mere hamdam, mere dost..!

Wednesday, 15 January 2014

Futurist

jab koi sawal uljha raha hota hay aur main usay suljhanay ki buhat koshish kr k thak jata hoon tu main khud ko ziada preshan nahi krta. bas phir main bati bujha k so jata hoon. Zindagi ka barra asaan sa formula hay, buhat koshish kro, jaan larra do, phir chorr do. kuch aur kr lo.
main baqqaida namaz nahi parhta. lekin main buhat se molvi aur buhat se namazioN se buhat behtar hoon. meray nazdeek kisi bhi insan ka dil aur us ki izzat sab se muqaddam hay aur main usay zara bhi pamaal nahi honay deta. 
Mera iman hay k maaN ki khidmat wo kunji hay jo seedha seedha jannat mein lay jaye g aur is ka hawala main Hazrat Omer R.A aur Hazrat Owais Qarni R.A k waqiya se leta hooN.
Meri zindagi ki intehaii meraj yehi hay k Allah ne mujhay jannat kamanay ka buhat moqa dia aur meri maaN akhri waqt bhi mujh se buhat khush thi... aur mera Rabb neko karoN k ajar zaya nahi krta.

Lahore