Showing posts with label OST. Show all posts
Showing posts with label OST. Show all posts

Friday 15 January 2016

Daam

kiyun kho gaey woh lamhe
kahaan kho gaey woh lamhe
rishton ke woh silsile
kahaan kho gaey woh lamhe
zara sa socho gi ruk ke agar tum
ja na pao gi mujh se alag tum
lambi dopehron mein peyrron ki chaaon
kya bhool pao gi tum


jhoot hai sabhi, saccha kuch nahi
dhoka yaara tha
na jaana tumhain, na samjha tumhain
dhoka yaara tha
naata na tha, rishta na tha
khuwaab tha, toot gaya
paagal ho tum, choro zid yeh
khuwaab tha, toot gaya
raste alag, manzil juda
phir rona kya


aitebaar tha jo ikhteyaar tha
rookha yaara tha
bhool main gai, yaad kuch nahi
dhoka yaara tha
naata na tha
rishta na tha
khuwaab tha, toot gaya
paagal ho tum, choro zid yeh
khuwaab tha, toot gaya
raste alag, manzil juda
phir rona kya


kiyun kho gaey woh lamhe
kahaan kho gaey woh lamhe
rishton ke woh silsile
kahaan kho gaey woh lamhe
zara sa socho gi ruk ke agar tum
ja na pao gi mujh se alag tum
lambi dopehron mein peyrron ki chaaon
kya bhool pao gi tum

silvatein

neendon se uljhi hain maazi ki yadain
palkon pe chubti hain rishton ki silvatein

lehjay ki sardi
wo baaton ki garmi
muhabbat ka dhoka
wo doori ki khunki
dhokay ka khanjar
wo marham mein sholay
bahanay puranay
wo shikwaya niralay

neendon se uljhi hain batain tumhari
silvaton mein chubti hain yadain tumhari

silvaton mein chubti hain yadain tumhari


Tuesday 9 December 2014

Sub Muhabbat ka ik Pehar hay


Yeh jo palkon pe rim jhim sitaron ka mela saa hay
Yeh jo teray bina koi itna akela saa hai
Zindagi teri yaadon se mehka hua shehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay


Sahilon pe gharonday banaye they hum nay,
tumhain yaad hay?
Rung barish main kaisay urraaye they hum nay,
tumhain yaad hay?

Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, 
tumhain yaad hay?

Koi khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hay neendon k sehra main khwabon ka rasta kahiin
Her khushi aatay jaatay howay waqt ki lehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay

Zindagi dhoop chaoN ka ik khail hay, 
bheerr chat'ti nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, 
raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, 
umer ghat'ti nahin

Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hain kahin shaam say
Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay.

Sunday 7 December 2014

TALKHIYAN

OST-Talkhiyan
Talkhiyan (based on God of Small Things) is not just a drama, each character of the drama has a complete story in itself. A must watch and rewatch, if you are of my type.

Friday 21 November 2014

shaam ke surmaii andheroN mein

shaam ke surmaii andheroN mein 
yuN meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat k sabz pairron par 
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar 
ajnabi ka tawaf karti hai 

door reh kar jo dil mein rehta hai 
woh sitamgar bhi ghair kehta hai
kitni masoom aarzoo'on ko 
iss tarah log torr jatay hain
jaisay dam tortay musafir ko 
qafilay waalay chorr jatay hain

ahain bharta hoon ashk peeta hoon 
roz marta hoon phir bhi jeeta hoon
teri yaadon ki tishnagi ab tak
yun meray dil ko thaam leti hai
jaisay ik taza qabar par bewa
marnay walay ka naam leti hai

shaam ke surmaii andheroN mein 
yuN meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat k sabz pairron par 
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar 
ajnabi ka tawaf karti hai 

Tuesday 1 July 2014

Mere hamdam, mere dost

meri qismat ko nai raah dikhanay walay
meri qismat main muhabbat ka safar hay k nahi
meray anjaan mehrban ye bta de mujhko
tere khwabon main kahin mera guzar hay k nahi

Dil ki jalti hui veraan si tanhaaii main
tuu kisi narm se jhonkay ki tarha i hay
do gharri ki hay mulaqat magar janay kion
aesay lagta hy k barson ki shanasaii hay


meri be rabt ummeedon ko sajanay wali
dil ki hasrat ka main izhaar bta kesay kroon
mana mushkil hay ye iqrar e muhabbat lekin
apni chahat ka main inkar bta kesay kroon

Mera hamdam hai kisi dhoop main saaye jaisa
Sath chalta hai magar phir b juda rehta hai,
Kacchy dhaagon sy bnaya hai jo rishta dil ny
Toot jaye na kahin darr sa laga rehta hai.. !!

Mere hamdam, mere dost
Mere hamdam, mere dost..!