Sunday 25 March 2012

Pehli Barish

main ne jab likhna seekha tha
pehlay tera naam likha tha
main wo sbr-e-sameem hoon jis ne
baar amanat sr pe lia tha
main wo ism-e-azaam hoon jis ko
jinn-o-malak nay sajda kia tha
tu nay kion mera hath na pakra
main jb rastay say bhatka tha
jo paya hay wo tera hay
jo khoya wo bhi tera tha
tujh bin sari umr guzari
log kahain gay 'tu mera tha'
pehli barish bhejnay walay!
main teray darshan ka piyasa tha
........................

tanhai ka dukh gehra tha
main drya drya rota tha
aik he lehr na smbhli warna
main toofanoN se khaila tha
tanhai ka tanha saya
dair se meray sath laga tha
chorr gaye jb saray sathi
tanhai ne sath dia tha
sookh gayi jb sukh ki daali
tanhai ka phool khila tha
tanhai main yad-e-Khuda thi
tanhai main khouf-Khuda tha
tanhai mehrab-e-ibadat
tanhai mimber ka diya tha
tanhai mera pa-e-shikasta
tanhai mera dast-e-dua tha
wo jannat meray dil main chupi thi
main jissay bahar dhoond rha tha
tanhai mere dil ki jannat
main tanha hoon, main tanha tha


By Nasir Kazmi