Wednesday 15 January 2014

Futurist

jab koi sawal uljha raha hota hay aur main usay suljhanay ki buhat koshish kr k thak jata hoon tu main khud ko ziada preshan nahi krta. bas phir main bati bujha k so jata hoon. Zindagi ka barra asaan sa formula hay, buhat koshish kro, jaan larra do, phir chorr do. kuch aur kr lo.
main baqqaida namaz nahi parhta. lekin main buhat se molvi aur buhat se namazioN se buhat behtar hoon. meray nazdeek kisi bhi insan ka dil aur us ki izzat sab se muqaddam hay aur main usay zara bhi pamaal nahi honay deta. 
Mera iman hay k maaN ki khidmat wo kunji hay jo seedha seedha jannat mein lay jaye g aur is ka hawala main Hazrat Omer R.A aur Hazrat Owais Qarni R.A k waqiya se leta hooN.
Meri zindagi ki intehaii meraj yehi hay k Allah ne mujhay jannat kamanay ka buhat moqa dia aur meri maaN akhri waqt bhi mujh se buhat khush thi... aur mera Rabb neko karoN k ajar zaya nahi krta.

Lahore