Saturday, 21 May 2016

Dil mein ek lehar si uThi hai abhi.
Koi taza hava chali hai abhi.

Shor barpa hai Khana-e-dil mein;
Koi divar si giri hai abhi.

Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi;
Aur ye choT bhi nayi hai abhi.

Bhari duniya mein ji nahien lagta;
jaane kis cheez ki kami hai abhi.

Tu shareek-e-suKhan nahien hai to kya;
Ham-suKhan teri Khaamoshi hai abhi.

Yaad ke be-nishaan jazeeroon se;
Teri aavaz aa rahi hai abhi.

Shehar ki be-chiraaGh galiyoon mein;
Zindagi tujh ko DhuunDhti hai abhi.

So gaye loug us haveli ke;
Ek khiRki magar khuli hai abhi.

Tum to yaro abhi se uTh baiThe;
Shehar mein raat jagti hai abhi.

Vaqt achha bhi aayega 'Nasir';
Gham na kar zindagi paRi hai abhi.

(Poet: Nasir Kazmi)

Friday, 20 May 2016

koi yahan tu koi wahaN wahan, wo sb jo qabroN mein parray sotay hain, kuch katbay k sath, kuch bilkul gum-naam.... kisi k bachay, maan baap, buhat he piyaray, ya koi aur aziz
Qabristan wahin reh jatay hain aur log duniya k tool-o-arz mein phail jatay hain. phir koi jo in soay huoN se milna chahay, fateha parhnay, salam krnay, khayal rakhnay. door darz se kitnay qabristanoN se guzar kr wo aa aatay hain.
mein soch rhi hoon kion na sb qabron se qatbay hata dein..
phir yuon ho
jo jis qabr se guzray, usay salam kray, us pr fateha parhay, goya wo uska apna hay.

Quran the remedy for heart diseases



يَا أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ جَاءَتْكُمْ مَوْعِظَةٌ مِنْ رَبِّكُمْ وَشِفَاءٌ لِمَا فِي الصُّدُورِ وَهُدًى وَرَحْمَةٌ لِلْمُؤْمِنِينَ 

قُلْ بِفَضْلِ اللَّهِ وَبِرَحْمَتِهِ فَبِذَٰلِكَ فَلْيَفْرَحُوا هُوَ خَيْرٌ مِمَّا يَجْمَعُونَ 


O mankind! There has come to you an instruction from your Rabb, a cure for whatever (disease) is in your hearts, a guidance and a blessing for the true believers.
Say: "It is the grace and mercy of Allah (that He has sent this Qur'an), so let the people rejoice over it, for it is better than (the worldly riches) they are collecting."

Al-Quran 
(Surah Yunus-10, Ayah 57, 58)