Friday, 3 June 2016

KitaboN ki Kahani

Shehr Lahore jaaoon aur mash-hoor sarrak pr kitabein dhoondnay na jaoon aesa tu ho nahi skta
magar mein wahan jati kitni dafa hoon? saal mein do baar, teen baar!
pichli martaba jb mein wahan gaii tu kitaboN ki wo barri si dukan mujhay kafi khali khali mehsoos hui. na kitab, na khareedaar....
"kia sari kitabein bik gaiien? nia maal kb aye ga?", mein nay poocha.
"nahi baji, nia maal tu demand pr aata hay. jb bikri nahi hoti tu aur maal kia dalwana" dukandar ne jawab dia.
"magar kion?" mein ne hairat se poocha.
"baji, kitabein mehngi buhat hain. log ab kitabein nahi khareedtay... is karobar mein buhat manda hay, kaghaz, chapwaii hr cheez he mehngi hay.. qeemat na barhaien tu kharcha b poora nahi hota."
... khair mujhay tu us ne 33% discount de dia.
6 mah baad aaj phir mein usi sarrak pr kuch kitabein lenay nikli thi. wo dukan dhoondti rhi. phir aas paas ki dukanoN se us bookstore ka poocha tu pta chala aaj us jaga branded jootoN ki franchise ki opening hay.
mein us dukan k saamany he kharri thi... chamkati gaarioN ki parking k liay jaga km pr rhi thi. 

"kitaboN ki jaga jootay".... mujhay afsos hua.
meray ander sargoshi hui... "tum maanti nahi thi na... yahan kitaboN ki nahi jootoN ki zaroorat hay."