Sunday, 20 January 2019

chehray tu ehl e shehr k pur sakoon thay magar
doobay huay zameer preshanioN main thay
phooloN main patharoN ko lapaitay huay Nadeem
masroof yaar log gul afshanioN main thay

Thursday, 2 August 2018

Raahi

aik adhoori baat
beech samundar saat
lambi kali raat
raahi khali haath
paar lganay wali
ik Allah ki zaat

Wednesday, 6 June 2018

Friday, 16 March 2018


piyar gharri bhar ka he buhat hay
jhoota sacha- mat socha kr

dhoop mein tnha kr jata hay
kion ye saya- mat socha kr

apna aap gnwa kr tu nay
paya hay kia- mat socha kr

mar jaye ga matt socha kr

Friday, 29 December 2017

Tum kabhi na rona, Allah kray tumhari aankh mein kabhi ansoo na aye. aur tumhara hath kabhi na jalay. na thorra na ziada. pata hay kabhi kabhi jb mera hath jl jata hay na pakoray bnatay huay, roti bnatay huay, ya piyaz bhoontay huay, tu mujhay buhat takleef hoti hay, baaz dafa nishan bn jata hay phir lgta hay k ye kabhi nahi jaye ga, lekin haftay das sin mein sab theek ho jata hay.... aur ye silsila chalta rehta hay. mein kabhi kabhi ziada ghbra jati hoon... ronay lg jati hoon, lekin Allah kray tum kabhi nahi ro. tumharay hath pr kabhi jalnay ka nishan na bnay.
pta hay do din pehlay mainay buhat ziada garm chaye p li. buhat garm, thundd itni thi k mujhay chaye ki garmi ka andaza he na hua, meri zuban se le kr halaq tk sb jl gya. kitni takleef hui. aur main roii bhi nahi. phir mujhay bukhar ho gya. sari raat jism tapta rha. mein kb roi aur kb soi, mujhay nahi pta. sirf do din lagay aur takleef chali gaii.
pta hay ziada dard kion hota hay, jb takleef ho aur aap izhaar na kr skain.

Sunday, 12 November 2017

kia sochtay rehtay ho
ankhoN se btao na
kia khojtay rehtay ho

Saturday, 28 October 2017

Wo tu pathar pe bhi guzray na Khuda honay tk
jo safar mainay na honay se kia honay tk

zindagi is se ziada tu nahi umr teri
bs kisi dost k milnay se juda honay tk

ab koi faisla ho bhi tu mujhay kia lena
mein tu umroN se hooN masloob, saza honay tk

ae Khuda! teri mashee-at bhi tu shamil ho g
aik achay bhlay insaN k bura honay tk