wesay tu her waqt aur her kam k doraan mere zehn k pas e parda aik he manzar gardish krta rehta hay lekin namaz k bad, dua main, aur sonay se pehlay wohi manzar ankhoN k samnay aa jata hay. kabhi koi baat aur kabhi koi aur magar wohi.
un ka is tarha chalay jana hmaray darmiyan se. phir neend kesay aye. buhat daer wohi film kabhi maazi ki yaad aur kabhi aik mustaqil kami k sath mustaqbil ki aik tasveer. main ankhain band kr k leti he thi k achanak youn mehsoos hua k kisi ne sir se aasmaan he khainch lia preshani main uth bethi tu laga k paoN k neechay zameen bhi nahi hay.
maan baap aulad k liay kia hota hain, pehlay pta nahi chalta. jb nahi rehtay tu ehsas hota hay. woh tu chalay jatay hain sukhi ho jatay hain mgr hum kia kho beth'tay hain tab samajh ata hay.
main yahan aati hoon tu mujhay lagta hay k kuch kami hay, mujhy ghar jana chahiay. ghar jati hoon tu bhi adhoora pan, aik khlaa. youn lagta hay jesay main aik shuttlecock hoon. na yahan tik skti hoon na wahan.
kabhi mujhay un k phone ka intezar hota hay k wo phone pr mujhay smjhaien gay mujhay motivate kraingay mgr jb khud ko smjhati hoon k koi phone nahi aana tu........
kitni kasak hay dil main k mujhy koi khidmat ka moqa he nai mila. kitni aasani se khud ko minus kr lia unhon nay k kisi ka ehsan na uthana paray, kisi ko taklif na ho. mainay tu kabhi unhain ye b nai btaya k main un se kitna piyar krti hoon. mainay un ko btana tha k main un pr kitna maan krti hoon k wo mujh pr fakhar krtay hain. wo mera ideal thay ab realise hua hay. buhat daer baad.
jb wo chalay gaye mainay khud ko smjhaya k hum sb ne marna hay. aur hum aakhir main jannat main milain gay. lekin ye intezar itna kathan itna lamba ho ga ye tu smjh he nahi aya.
hum kb maraingay, hum kab ikathay hongay?
Fa sabrun Jameel
June 12, 2013
Fatima Hostel
NUST
Islamabad