Monday 4 July 2011

Aag

Aik tu wo aag hay jo choolhay main bharrakti hay. Ya wo hoti hay jo aasmani bijli k girnay say jungle k jungle jala daalti hay. Aur aik wo aag jo nanhi si chingari hay. jisay theek se hawa bhi nahi milti k jal jaaye, bharrak jaye. jahaN parri rahay, wahin parri rahay. kuch nahi jalati bass tapash fraham krti rehti hay, aur agar aesi he koi chingari, dil main ja chupay. wesay tu insaan jeeta jaagta hay, khata peeta hay, magar dil main wohi meetha meetha dard aur halki halki tapash. sabhi kuch krta hay, sabhi zimadariaN nibhata hay magar yuon k bahaar dhoop ho tu ander sawan baras rha hota hay aur bahar ghataain chaa rahi hon ya jal thal maN ander dhoop aur sookha he rehta hay.
Aag choolhay main lagi ho tu istemal k baad bujha d jati hay, jungle main ho tab bhi usay bujhanay ka band o bast kia jata hay, lekin man ander lagi aag jo na bharrkay na bujhay kabhi thandi nahi ho paati.

No comments:

Post a Comment