Kabhi kabhi hmain lgta hay k hum itna ro chukay hain k ab ankhain khushk ho gayi hain, hum ne itnay dukh jhailay hain k ab is bara dukh koi aur ho nahi skta, hum wo kuch kho chukay hain k ab khonay ko kuch nahi raha, wo qayamat jo hm pr toot chuki hay us say bara saneha koi aur ho nahi skta- aik azmaish jo hum pr guzri hay bas wohi mushkil tareen gharri thi.
Lekin haqeeqat yeh hay k hr nia hadsa chahay chotta ho ya bara pichlay hadsay se jurra hua hay, hmari ankhain jitni bhi khushk ho chuki hon, aur dil jitnay bhi pathar ho chukay hon, hum phir ro partay hain aur hum phir toot jatay hain.
Dil bar-haa ehd kray k ab kisi se wabsta nahi ho ga, lekin hum tawaqqaat wabsta kr beth-tay hain. lakh bar khud ko mazboot krain k hmain ab koi faraq nahi parta koi umeed tootnay say lekin faraq par he jata hay. ain mumkin hay bicharnay walay ko sb hansi khushi vida krain, mgr tanhai main insan kamzor par he jata hay, aur ansoooN ka bund toot he jata hay.
Islamabad
Islamabad
No comments:
Post a Comment