Tuesday 9 December 2014

Sub Muhabbat ka ik Pehar hay


Yeh jo palkon pe rim jhim sitaron ka mela saa hay
Yeh jo teray bina koi itna akela saa hai
Zindagi teri yaadon se mehka hua shehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay


Sahilon pe gharonday banaye they hum nay,
tumhain yaad hay?
Rung barish main kaisay urraaye they hum nay,
tumhain yaad hay?

Janay kis kailiye ghar sajaaye they hum nay, 
tumhain yaad hay?

Koi khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahiin
Gum hay neendon k sehra main khwabon ka rasta kahiin
Her khushi aatay jaatay howay waqt ki lehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay

Zindagi dhoop chaoN ka ik khail hay, 
bheerr chat'ti nahin
Aur issi khail main din guzarta nahin, 
raat kat'ti nahin
pyar kartay howay aadmi ki kabhi, 
umer ghat'ti nahin

Dil ki dehleez per aks-e-roshan teray naam say
Rat jagay aaiinon main khilay hain kahin shaam say
Aik darya hai chaaron taraf darmyaan lehar hay
Sub muhabbat ka ik pehar hay.

No comments:

Post a Comment