Wednesday 5 August 2015

Aurat dar-asl maamta hay. bachpan se burha-pay tak hr roop hr rishtay main chahay wo beti ho, behan ho, biwi ho, wo maa'n he hoti hay. aurat muhabbat main apni maamta ko prwaan charhaati hay. wo muhabbat ko apnay ander paalti hay, duniya se chupa k, barri hifazat se bilkul us trha jesay aik maan apnay bachay ko no maah tk apnay pait main paalti hay. phir jb muhabbat k iqrar/ izhar mein kamyab ho jati hay tu jesay bacha pait se nikal k goad mein aa gya ho. bilkul maan ki trha wo apni muhabbat ki nigehdasht main lag jati hay. wo kabhi is se ghafil nahi hoti, sotay jagtay, dhyan usi ki trf lga rehta hay. jesay maan khayal rakhti hay apnay bachay ki bhook piyas ka, seenay se lagaye rakhti hay, choomti hay aur roz usay bara hota dekh k, parwan charhta dekh k khush hoti hay aur apnay Rabb ka shukr adaa krti hay.
Mard maarka araa hotay hain. muhabbat bhi kisi maarkay ki trha injam detay hain. goya muhabbat na hui jang hui. aik challenge. anaa ka mas-ala. aurat ka dil bhi sar zameen-e-ghair ki trha fatah kia, apnay naam k jhanday gaarray, char din fatah ka jashan mnaya aur aagay nikal gaye. nai manzilon ki talash main naye challenges k shoq mein. mard k liay guzishta muhabbatein medals aur trophies ki trha hoti hain. jinhain roz nigehdasht ki zaroorat nahi hoti. bas kabhi kabhar unki taraf nazar parr jaye tu fakhar se sr buland kia, muskuraye aur bass. Mard fitratan muhabbat main tauheed ka qayl nahi hay. aur issay aesa krnay pr majboor bhi nahi kia ja skta. Aik aurat ki muhabbat kafi nahi parti chahay wo apni haddion ka ras nikal k bhi pila day, tab bhi nahi. un k liay buhat kabhi kaafi nahi hota.
buhat tu aurat k liay bhi kafi nahi hota. wo jaan nisar krna chahti hay aur buhat krna chahti hay. pr is k liay usay bass aik sooraj chahiay jo usay hayat bakhshay, jeenay ki waja, muhabbat krnay ki waja, hiddat, hararat, roshni aur tawanaii.

No comments:

Post a Comment