ik yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai
dosto main kise ye soz-e-nihan nazar karon
koi qatil sar-e-maqtal nazar aata hi nahin
kis ko dil nazar karon aur kise jaan nazar karon?
tum bhi mahboob mere tum bhi ho dildaar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahin tum bhi nahin
khatam hai tum pe maseeha-nafasi chaaragari
mehram-e-dard-e-jigar tum bhi nahin tum bhi nahin
apni laash aap uthana koi aasaan nahin
dast-o-baazo mere naakaara hoe jaate hain
jin se har daur mein chamaki hai tumhari dahleez
aaj sajde wohi aavara hoe jaate hain
door manzil thi magar aisi bhi kuchh door na thi
leke phirti rahi raste hi mein vahshat mujh ko
ek zakham aisa na khaya ke bahar aa jati
daar tak leke gaya shauq-e-shahadat mujh ko
raah mein toot gaye paaon to maaloom hua
juz mere aur mera rah-numa koi nahin
ek ke baad Khuda ek chala aata tha
keh diya aql ne tang aake Khudaa koi nahin
No comments:
Post a Comment