Wednesday 8 March 2017

Aansoo


jinhoN ne is ko janam dia tha
wo ranj tu maslehat k hathoN
na janay kb qatl ho gaye thay
tu krta phir kis pe naaz aansu
k ho gya be-javaz aansuu
yateem aansu yaseer aansu
na mo'tabar tha
na raastoN he se ba-khabar tha
to chalte chalte
vo tham gya tha
ThiThak gya tha
jhijhak gya tha
idhar se aaj ik kisi ke ġham ki
kahani ka karvaN jo guzra
yateem aansu ne jaise jaana
k is kahani ki sar-parasti milay
tu mumkin hai raah paana
tu ik kahani ki ungli thamay
Usi k gham ko rumal krta
isi k baray mein
jhootay sachay saval karta
ye meri palkoñ tk aa gya hai

No comments:

Post a Comment