Wednesday 4 November 2015

Khaka: Humdard

subh saveray
main apnay ghar se nikloon
bus stop pr
tum aik nazar mujhko dekho
aur main apna rasta kho kr
teray humrah ho jaoon
tum jahan murro, mein murr jaoon
tum jahan ruko, mein ruk jaoon
tum phir chal do, mein bhi chal doon
jitna tez chalain hum dono
rasta utna lamba ho
hum dono k beech main
ik chup ho aur ik saya ho
kabhi tapti sarrak
kabhi nehr kinaray
ghanay darakhtoN k saye mein
tum aagay aagay
mein seher zda si peechay peechay
sham dhalay aur rastay saray
dhundlay parr jaein
tum mujhko aata dekhtay ho
aur apna raasta naaptay ho
phir raat k saaye gehray ho jaein
basti, jungle dhundlay rastay
sb peechay reh jayein
bas rait he rait ho
aur raigistaan k ain wast main
nakhlistan se thorra pehlay
tum ruk jao
main girtay parrtay tum tk puhanchoon
tum aik nazar meray ristay pairon ko dekho
phir mujhse poocho
"itni azeeyat kion leti ho?
ye samnay tu mera ghar hay,
tum apnay ghar ko kion nahi jati?"



No comments:

Post a Comment