Aik abshaar thundi aur suffaid..... darmiyan mein ooper jati seerhian.
Aur main in seerhion ko charhti ooper jati hui.
Abshaar ka paani yakh thunda.... aur is k dono taraf sabza.... jesay green fields hotay hain.
Is sabzay say hray bhray maidan main meri family k beshtar log mojud hain,
aapa, mumaani, ammi ji, abbu ji sab.....
Wo mujhy ooper jata dekh rhay hain aur jb
main aik hadd tak opper pohanch jaati hoon tu wo mujhy mna krtay hain k bass kr
do, paani baraf ki tarha thunda hay tum freeze ho jao g. meray paaon sunn ho
chukay hain, takleef bohat ziada hay mgr main kisi say keh nahi paati. Aahista
aahista mera poora jism barf ki tarha jum jata hay aur main wahin beth jati
hoon. Ab soorat e haal yeh hay k main wapis b nahi aa skti aur ooper b nahi ja
skti. Aur goya bahar say b koi mujhy bachanay andar(abshar k) nahi aa skta. Main
hath hila kr sb ko alvida kehna chahti hoon mgr ab bohat dair ho chuki hay.
Main hath nahi utha sakti. Meri aankhon main aansoo aa jatay hain, main janti
hoon k kuch dair baad main poori ki poori barf ban jaoon gi.
107, F-II
NUST, Islamabad