Monday 28 December 2009

Aik abshaar thundi aur suffaid..... darmiyan mein ooper jati seerhian. 
Aur main in seerhion ko charhti ooper jati hui. 
Abshaar ka paani yakh thunda.... aur is k dono taraf sabza.... jesay green fields hotay hain. 
Is sabzay say hray bhray maidan main meri family k beshtar log mojud hain, aapa, mumaani, ammi ji, abbu ji sab.....
Wo mujhy ooper jata dekh rhay hain aur jb main aik hadd tak opper pohanch jaati hoon tu wo mujhy mna krtay hain k bass kr do, paani baraf ki tarha thunda hay tum freeze ho jao g. meray paaon sunn ho chukay hain, takleef bohat ziada hay mgr main kisi say keh nahi paati. Aahista aahista mera poora jism barf ki tarha jum jata hay aur main wahin beth jati hoon. Ab soorat e haal yeh hay k main wapis b nahi aa skti aur ooper b nahi ja skti. Aur goya bahar say b koi mujhy bachanay andar(abshar k) nahi aa skta. Main hath hila kr sb ko alvida kehna chahti hoon mgr ab bohat dair ho chuki hay. Main hath nahi utha sakti. Meri aankhon main aansoo aa jatay hain, main janti hoon k kuch dair baad main poori ki poori barf ban jaoon gi.

107, F-II
NUST, Islamabad

No comments:

Post a Comment