Monday, 25 October 2010

Chalo ham suraj mukhi k phool bn kr
roshni ko dekhta hain
Zameen ki god say har din
nia suraj ubharta hay
Chalo ham suraj mukhi k phool bn kr 
roshni ko dekhtay hain
Hamara is terha milna aur 
apni sarzameeno ki khushi aur sar balandi k liay 
youn hoslon ko aur hunar ko azamana, 
ik doosray say agay barhna jeetna, 
dil khol ker khushiya manana
Yeh jazba aik jesa hay
Yeh jasba aik jesa hay
Ya kabhi haar jana ankh nam hona 
diloun ka toot jana 
yeh b jazba aik jesa aik jesa hay
Agar sochain tu yeh b ik karishma hay
Yahan apas milnay ka 
jo lamhay sath guzray hain 
unhi lamhon inhi yaado k laakhoN phool khilna ka,,
yehi yadain yehi din roshni ban jayengay….
Chalo ham suraj mukhi k phoool bn ker roshni ko dekhtay hain
Ik nai umeed ankhoN main saja k 
roshni ko dekhtay hain
Zameen ki god say har din 
nia suraj ubharta hay
Chalo ham suraj mukhi k phool bn kr 
roshni ko dekhtay hain

No comments:

Post a Comment