Friday 22 October 2010

Meri Zaat K Itnay Chilkay, Itnay Rung

meri zaat k itnay chilkay
itnay pehloo, itnay rung
kuch kachay, kuch pheekay pheekay
meray saray roop nairung

main na-mumkin, mumkin kr doon
main un-honi ko honi keh doon
main foladi, main pur-zorr!
main hansti hoon main gaati hoon
main roshan aur main be khouf
main titli k rangoN wali
piyari piyari, par kamzor!

main darpok kabootar jesi
tanha beth k ronay wali
main gum sum, biklul khamosh
main tareeki, main andheri,
aankhoN se cham cham barsaati
main khud kankar, main talaab!

main barish ka pehla qatra
main khud sookhi matti be-aab
meri zaat k itnay chilkay
meri zaat k itnay rung.

NUST, Islamabad
2010

No comments:

Post a Comment