Monday 26 January 2015

Meray bacho!

Meray bacho!

Duniya mein do baatein kabhi ikathi nahi ho sktiin. Meri baat dhayan se sun’na is liay k mujhay nahi maloom k dubara kabhi aesi majlis ho, hum sb ki, ya nahi. Jesay aaj tum sb meray aas paas bethay ho. Hmesha yad rakhna, aur mushahida krna. 

Aik ye k koi insaan ander se acha ho….. 

“Ander se acha”, aur hm sb jantay hain ander se acha hona kia hay. Authentic, seedhay rastay pr… duniya ki nazar main nahi eman ki nazar mein…..

Han, tu aik ye k koi insaan ander se acha ho aur kamyab na ho aesa kabhi nahi ho skta.

Aur doosra, ye k koi insaan ander se bura ho, mein smjhta hoon mujhay apko smjhanay ki zaroorat nahi k ander se bura hona kia hay, wo insaan jo ander se bura ho wo kabhi falah nahi paa skta na duniya main na akharat main.

Tu meray bacho, apnay ander naik iraday, naik khayalat ki fasal bo do. Kl ko phal tum bhi khao gay aur ird gird k log bhi faiz yab hongay.

Aur jo koi, bad niyati, kam-chori, buray ikhlaq ko apna asloob bnata hay wo sari zindagi tangi, museebaton, aur zehni dbao ka ghar bn jata hay. Keekar k pair ka koi faida nahi hay. 

Piyaray bacho! hum pr Allah ne kb karam nahi kia? Main apni sari zindagi ko aik film ki trha sochoon tu main tu aik aik lamhay k liay Khuda ki mehrbani pr Uska shukr ada nahi kr skta. Aur aap log, aap logon ko is chat k neechay sb araam skoon, jo bhi muassar hua, kia wo Khuda ki daen nahi hay? Kia hum mein se kisi ka bhi koi amal aesa hay jo Khuda k is inaam ka mustahiq ho jo hum pr hua hay. Tu Allah Tala tu hum se kuch bhi nahi chahtay siwaye is k k hum achay insan bnain. Aur mein bhi aap se kuch nahi chahta siwaye is k k aap meri achi pehchan bno. Aik doosray ki pehchan bno. ba haisiyat aik fard k jb tum achay insan bno gay, tu ye muashra acha ho jaye ga, aur hm sb ka khwab aik acha falahi muashra he tu hay. Apnay apnay kaam mein naik niyati shamil kr lo wo ibadat bn jaye ga.


Allah apkay kaamon mein asani paida kray. Khush rho!

No comments:

Post a Comment