Monday 19 January 2015

Tu na thi koi saraaye; Na main hoon koi musaafir!

Tu na thi koi saraaye (Motel)
Ke main raat bhar thehar k
Safar Ikhtiyaar karta


Main na tha koi musaafir
Ke jo ghar nagar ko tajj (leaving behind) kar
Kahin or pyar karta


Inhi bastiyon mai varna
Kayi dil kayi nigaahein
Koi neend ka ho rasiya (fond)
To hazaar khwab-gahein


Kahin kaakulon (tress) ke baadal
Kahin qaamaton ki chhaaon
Kahin shehar aarzu ke
Kahin hasraton k gaaon


Kahin khilwatein (privacy) dukaanein
Kahin jism beo-paari
Na kisi sanam ko shikwa
Na dukhi koi pujaari


Ye ajab qimaar khaanay (Casino)
Yahan haar bhi kamaayi
Na kisi ka maan toota
Na kisi ne chot khaayi


Koi be-ma-aal (pointless) qissa
Koi daastaan adhoori
Ye supurdagi judaai
To vo ikhtilaat (mating) doori


Yahan shoq bhi tamaasha
Yahan ishq bhi malaamat
Na to vasl khoobsurat
Na firaaq he qayaamat


Ye zarooraton k mailay
Ye qayaam k bahaanay
Ye thakan utaarnay k
Sabhi aarzi thikaanay


Ye hamaray ehd-o-peimaan
Tujhe kia khabar k jaanaa
Ye dinon ki baat kab thi
Ye rafaaqaton ki sadiyaan


Ye jo dard hai amar hai
Ke wafa hai harf-e-aakhir
Tu na thi koi saraaye
Na main hoon koi musaafir!


Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment