Friday 21 November 2014

shaam ke surmaii andheroN mein

shaam ke surmaii andheroN mein 
yuN meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat k sabz pairron par 
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar 
ajnabi ka tawaf karti hai 

door reh kar jo dil mein rehta hai 
woh sitamgar bhi ghair kehta hai
kitni masoom aarzoo'on ko 
iss tarah log torr jatay hain
jaisay dam tortay musafir ko 
qafilay waalay chorr jatay hain

ahain bharta hoon ashk peeta hoon 
roz marta hoon phir bhi jeeta hoon
teri yaadon ki tishnagi ab tak
yun meray dil ko thaam leti hai
jaisay ik taza qabar par bewa
marnay walay ka naam leti hai

shaam ke surmaii andheroN mein 
yuN meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat k sabz pairron par 
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar 
ajnabi ka tawaf karti hai 

No comments:

Post a Comment