Tuesday 18 November 2014

Zood Pasheman

November adha guzar chuka hay. sardhi kuch kuch barh chuki hay. aur raat k pichlay pehr tu khasoosan khunki aur bhi barh jati hay. yehi wo waqt hay jb meri ankhain neend se is qadar bojhal ho jati hain k koshish k bawjood main apna kaam jari nahi rakh pata. bil-akhir main batti bujha deta hoon aur bistar main lait jata hoon. bas phir kb neend apni aghosh main aa leti hay aur kb nia din shuru ho jata hay kuch pta nahi chalta.

koi raat k do swa do bajay ka waqt ho ga. main ooper ki manzil main apnay kamray main abhi kaam kr he rha tha k bahar main gate k pas kuch khatka sa mehsoos hua. yahan ooper ki manzil se neechay ka gate aur lawn saf nazar aata hay mgr is k liay kamray se nikal kr terrace pr jana parta hay. main nay aik tu kam main masroof honay ki waja se aur doosra bahar thund ki waja se is ghair mamooli awaz ko bilkul nazar andaz kia aur badastoor laptop pr jhuka kam krta rha. usi lamhay wohi awaz dubara sunai di. ab ki baar awaz ziada saaf thi. jis ki waja se main ba-qaida andaza laga paya k koi main gate pr charh kr ander anay ki koshish kr rha hay. main chokanna ho gya. aur us awaz pr ghor krnay lga. achanak dharram se koi cheez lawn main aa kr giri. main ahista se baghair shor paida kiay bahar terrace ki taraf lapka. yahan kharra main buhat daer tak lawn ka jaiza leta rha magar kuch hasil hasool na hua. main wapsi k liay murra he tha k mujhay kisi janwer k ronay ki awaz sunaii d. ye aik dil dehlanay wali cheekh thi, aik faryad, aik sisak, aik karb. main uski taraf mutawaja huay baghair na reh ska. 

main seerhian utar kr lawn main jharrion k paas aa gya jahan wo kaalay rang ki ghaleez si kuttiya parri thi. wo buri tarha zakhmi thi. uski khal jaga jaga se udhri hui thi aur gosht numaya ho rha tha. zakhmo se khoon ris raha tha. wo thori thori daer baad sisakti aur munh se cheekh numa awaz nikalti. wo be-sudh aur be harkat apni charoN taangoN ko pait se chipkaye aik taraf ko leti parri thi. meray qareeb janay pr bhi us ne zarra harkat na ki. main wahin lawn main beth gya. kuch daer ko mera dil mom sa ho gya. lekin main nahi janta tha mujhay us kuttiya k sath kesay paish ana chahiay.

main wahan say uth jana chahta tha mgr mujhay yun laga jesay meray qadam mera sath nahi detay jesay meray dil ko kisi nay jakarr liay ho. mujhay aesa laga k jesay ye rona tu buhat jana pehchana hay, jesay ye awaz jani pehchani hay. shayad is say pehlay bhi mainay kisi zakhmi kuttiya ko kahin rotay, bilaktay, sisaktay suna hay. tab mainay us ko is trha zakhmi dekha nahi tha. suna hay wo mar gayi thi. uff,.. mera dimagh bhi kahan se kahan puhanch jata hay. main wapis apnay kamray main aa gya. ab main sona chahta tha.

sardion ki raaton main door door tk hr awaz saaf sunai deti hay. aur ye awaz.... ye awaz tu yun lagta tha aur bhi qareeb ho gayi thi. aur ziada oonchi. aur ziada dard nak. main chahta tha wo rona band kr day. meri neend ka waqt tha aur wo kitni nahoosat phaila rhi thi. magar wo bechari tu dard se karah rhi thi. meray kaan main hichkion ki awaz sunai denay lagi. jesay koi bilkul kaan k paas betha ro rha ho. jesay koi kehta ho "main waqai mar jaoongi"... 

"tu mar jaao!" meray munh se be ikhtiar nikla. 

bass phir main uth betha. pta nahi main kisi baat ka azaala krna chahta tha ya kia tha mainay garm doodh kotoray main dala aur bahair lawn main aa gya. wo wahan nahi thi. wo kuttiya nahi thi. wo bemar thi. wo mehman thi. thori daer dhoondnay pr jhaarion k doosri taraf wo mujhay mil gayi. be his o harkat. be sudh. aik taraf ko lurkhi hui gardan. aur aankh k kinaray pr paani ka thehra hua qatra.

koi chupkay say phir kan main kenay lga, "main kehti thi na, main waqai mar jaoongi".

main hathon main pakrray huay is kattoray ko dekhnay laga. "tip tip" paani k do qatray doodh main mil kr sufaid ho gaye. main nahi jaan paya k mainay aaj ye ansoo kis ki moat pr bahaye hain.


Sobia

The Merciful.


The man says, "I am dirty, I am ashamed of seeking Allah".
He says, "How will you be purified unless I shower my blessings upon you".

Sunday 16 November 2014

Allah o Noor us samawat e wal ard.

Khuda e bazurg o bartar ki rehmat apkay sath ho tu koi apka kuch nahi bigar skta. Koi ap pr kitna bhi bad niyat ho kitna bhi burai pr amaada ho burai kr nahi skta jb tk ap Khuda ki rehmat k hisaar main hain. Khuda ki rehmat hmain kabhi be aasra nahi chorti. Magar hm is say door bhagna chahtay hain. Khuda tu chahta hay k hum usay apnay sath, apnay aas paas, apnay ander bahar mehsoos krain. Magar hm is tasavur se azaad hona chahtay hain. Hm ye tasavur krna chahtay hain k khuda nahi dekh rha. Hum jantay hain k Allah ki hadayat jis k sath ho wo kabhi nahi bhatkta lekin baaz khlaa jesay lamhoN main ji chahta hay k ye hadayat khuda kuch daer k liay wapis lay lay, kuch daer Wo hmain na dekhay aur hmain apni rehmat se dhaanp le mgr ....kuch daer baad.
Hum namaz main kharray ho kr barri ba qai'dgi se "ihdina sirat al mustaqeem" parhtay hain. Aur yaqeenun tasavur main us seedhay rastay ko dekh bhi letay hain mgr sath he dil main dua krtay hain k "Ya Allah ye wala seedha rasta nahi. Wo wala jo mainay apnay liay chuna hay" goya dua yun hui k "ay Allah! us raastay ko sirat e mustaqeem maan le jis pr main chal rha hoon".
Mujhay baqioN ka ilm nahi, magar main iqrar krti hoon k kai bar "ihdina sirat al mustaqeem" parhtay huay mujhay be had khof aya k agar kahin Allah ji ne ye dua poori kr di. Agr mujhay seedhay rastay pr chlaa dia gya tu? Phir meray dil main aik dua sargoshi krti hay k Ya Allah kuch din ki azadi aur day dain. Bass marnay se pehlay mera rukh apni taraf morr lijiay ga. Lekin main sari zindagi seedhay raastay pr nahin chalna chahti.
Aur kabhi kabhi ji chahta hay k agar Allah meri sirf aik baat maan le tu main poori ki poori Allah ki baat maan loon. Phir jo mera Rabb kahay mujhse krwaye.
Lekin ye tu koi shart nahi hay. Na mujhay is bat ka ikhtiyar hay. Main zuban se wohi kahoongi jo meray Allah nay mujhay kehnay ka parhnay ka hukm dia hay. Hr namaz main hr rakaat main. "Ae Rabbul Aalameen mujhay seedha raasta dikha".
Meri saari nafarmani, sarkashi, na shukri aik taraf Khuda mera aitraf e jurm bhi tu dekhay ga. Mera jhuka hua sir, meray ashk e nidamat raaegaN nahi jaiengay. InshaAllah
Mera Rabb buhat be nyaz buhat ghafoor arrahim hay.

Sinful.

Wednesday 12 November 2014

Abu ji

Every night I have to sleep with the fact that you are no more with us. Yet closer than ever before. I am surrounded by your sweet memories and heart-melting flashes from the years we spent together. Deep down I know your absence is temporary. One day we'll be reuniting up there. But that one day is far away. It hurts; when I call you and get no response. When I want to see you or touch you and you are not there. That's when I realise you have gone far far away. This pain keeps pinching my heart.

"My Lord, have mercy upon them as they brought me up [when I was] small." (Al Quran 17:23)

I love you and miss you even more!!!


Beti

Tuesday 11 November 2014

A Ghazal

apni he  awaz  ko  beshak  kaan  main     rakhna
lekin shehr ki khamoshi bhi dhyan  main rakhna

meray    jhoot  ko  kholo  bhi   aur  tolo bhi  tum
lekin   apnay   sach  ko  bhi  mezan main rakhna

kl   tareekh   yaqeenan   khud    ko  duhraye     gi
aaj  k  ik  ik  manzar  ko  pehchan   main  rakhna

aaj tu   ay   dil   tarq- e- taluq  pr   tum  khush  ho
kl  k  pachtaway  ko  bhi   imkaan    main  rakhna

iss   drya   se   aagay   aik   samandar    bhi     hay
aur  wo  be- sahil  hay  ye bhi dhyan main rakhna

iss  mausam  main  guldanoN  ki rasm kahaN hay
logo! ab   phooloN  ko   aatish-dan  main   rakhna


Poet: Ahmed Faraz
Book: Qaid e Tanhai

Wednesday 5 November 2014

Ishtebah e zehn

kabhi youn bhi hota hay kisi lateefay pr apko hansi nahi bulkay rona aa jata hay. abhi zehn main aik lateefa aya, kai baar sun chuki hoon kai baar suna chuki hoon aur is pr hr baar he hansti rhi hoon. lekin aaj usi lateefay pr kitna rona aa rha hay. aaj mujhay kahin se ye lateefa nahi lg rha. ye tu kahani hay, baar baar duhraai janay wali kahani.

kehtay hain:

ek marasi ny chauhdhry ki beti ka rishta manga. chaudhry ne marasi ki khoob pitaai lagwaii. maar kha k marasi ny phir wohi sawal duhraya. ab ki baar chaudhry ne us ki aesi durgat banwaii aur apnay nokroN se keh kr ussay ghar se bahar phainkwa dia. is pr marasi utha or apne kaprey jhaar kar bola "fair mein inkaar e samjhaan"!!!


Sufi Ghulam Mustafa Tabassum Sb. ki likhi hui bachon ki aik nazm hay "munnay ro lay". mujhay aaj tk smjh nahi i k issay bachon ki nazm kion kahan jata hay. ye tu barroN k liay hay.
Nazm kuch youn hay:
Holay Holay Holay
Ro lay munnay Ro lay
jesay chirriya gana gaye
jesay meena raag sunaye
jesay bulbul bolay
Rol lay munnay Ro lay
abba ko awaz na jaye
ammi bhi sun.nay na paye
gurriya aankh na kholay
Holay Holay Holay
jitna chahay ro lay.
Sea
5 Nov. 2014
G 7/1, Islamabad

Saturday 1 November 2014

Hawa e Dil Mera Shoq-e-Safar Nahin Jaata
Udhar Bhi Jaata Hoon Rasta Jidhar Nahin Jaata

Qayaam Jaisi Koi Haalat-e-Safar Hy Meri
Parinda Jaisay Hawa Main Thaher Nahin Jaata

Jhulas Rahi Hy Abhi Tak Wo An'Kahi Mujh Ko
Ye Aiyb-e-Ishq Ye Daagh-e-Hunar Nahin Jaata

Tuesday 28 October 2014

Shayd

shayd kl ki achi guzray
shayd mausam acha ho
shayd dhund k parday main say
charhta suraj poora ho
shayd be-kal, kal na howay
shayd chota rasta ho
shayd bagh dareechay main ik
jana jana chehra ho
shayd rut rangeen ho jaye
shayd badal chaya ho
shayd meray shor k ander
ik sannata ghalib ho
shayd sb ko wehma guzray
shayd pagal razi ho
shayd khud se batain kr k
apna khwab he sacha ho

Aneeq Ahmed Khan

Thursday 23 October 2014

Come back to see how deeply I need you,
Come back to find me awake in the middle of the long nights,
No, no, l'm wrong, your separation will not leave me alive,
You won't see me any more on your return.