Sunday, 16 November 2014

Allah o Noor us samawat e wal ard.

Khuda e bazurg o bartar ki rehmat apkay sath ho tu koi apka kuch nahi bigar skta. Koi ap pr kitna bhi bad niyat ho kitna bhi burai pr amaada ho burai kr nahi skta jb tk ap Khuda ki rehmat k hisaar main hain. Khuda ki rehmat hmain kabhi be aasra nahi chorti. Magar hm is say door bhagna chahtay hain. Khuda tu chahta hay k hum usay apnay sath, apnay aas paas, apnay ander bahar mehsoos krain. Magar hm is tasavur se azaad hona chahtay hain. Hm ye tasavur krna chahtay hain k khuda nahi dekh rha. Hum jantay hain k Allah ki hadayat jis k sath ho wo kabhi nahi bhatkta lekin baaz khlaa jesay lamhoN main ji chahta hay k ye hadayat khuda kuch daer k liay wapis lay lay, kuch daer Wo hmain na dekhay aur hmain apni rehmat se dhaanp le mgr ....kuch daer baad.
Hum namaz main kharray ho kr barri ba qai'dgi se "ihdina sirat al mustaqeem" parhtay hain. Aur yaqeenun tasavur main us seedhay rastay ko dekh bhi letay hain mgr sath he dil main dua krtay hain k "Ya Allah ye wala seedha rasta nahi. Wo wala jo mainay apnay liay chuna hay" goya dua yun hui k "ay Allah! us raastay ko sirat e mustaqeem maan le jis pr main chal rha hoon".
Mujhay baqioN ka ilm nahi, magar main iqrar krti hoon k kai bar "ihdina sirat al mustaqeem" parhtay huay mujhay be had khof aya k agar kahin Allah ji ne ye dua poori kr di. Agr mujhay seedhay rastay pr chlaa dia gya tu? Phir meray dil main aik dua sargoshi krti hay k Ya Allah kuch din ki azadi aur day dain. Bass marnay se pehlay mera rukh apni taraf morr lijiay ga. Lekin main sari zindagi seedhay raastay pr nahin chalna chahti.
Aur kabhi kabhi ji chahta hay k agar Allah meri sirf aik baat maan le tu main poori ki poori Allah ki baat maan loon. Phir jo mera Rabb kahay mujhse krwaye.
Lekin ye tu koi shart nahi hay. Na mujhay is bat ka ikhtiyar hay. Main zuban se wohi kahoongi jo meray Allah nay mujhay kehnay ka parhnay ka hukm dia hay. Hr namaz main hr rakaat main. "Ae Rabbul Aalameen mujhay seedha raasta dikha".
Meri saari nafarmani, sarkashi, na shukri aik taraf Khuda mera aitraf e jurm bhi tu dekhay ga. Mera jhuka hua sir, meray ashk e nidamat raaegaN nahi jaiengay. InshaAllah
Mera Rabb buhat be nyaz buhat ghafoor arrahim hay.

Sinful.

No comments:

Post a Comment