apni he awaz ko beshak kaan main rakhna
lekin shehr ki khamoshi bhi dhyan main rakhna
meray jhoot ko kholo bhi aur tolo bhi tum
lekin apnay sach ko bhi mezan main rakhna
kl tareekh yaqeenan khud ko duhraye gi
aaj k ik ik manzar ko pehchan main rakhna
aaj tu ay dil tarq- e- taluq pr tum khush ho
kl k pachtaway ko bhi imkaan main rakhna
iss drya se aagay aik samandar bhi hay
aur wo be- sahil hay ye bhi dhyan main rakhna
iss mausam main guldanoN ki rasm kahaN hay
logo! ab phooloN ko aatish-dan main rakhna
Poet: Ahmed Faraz
Book: Qaid e Tanhai

No comments:
Post a Comment