Friday 29 December 2017

Tum kabhi na rona, Allah kray tumhari aankh mein kabhi ansoo na aye. aur tumhara hath kabhi na jalay. na thorra na ziada. pata hay kabhi kabhi jb mera hath jl jata hay na pakoray bnatay huay, roti bnatay huay, ya piyaz bhoontay huay, tu mujhay buhat takleef hoti hay, baaz dafa nishan bn jata hay phir lgta hay k ye kabhi nahi jaye ga, lekin haftay das sin mein sab theek ho jata hay.... aur ye silsila chalta rehta hay. mein kabhi kabhi ziada ghbra jati hoon... ronay lg jati hoon, lekin Allah kray tum kabhi nahi ro. tumharay hath pr kabhi jalnay ka nishan na bnay.
pta hay do din pehlay mainay buhat ziada garm chaye p li. buhat garm, thundd itni thi k mujhay chaye ki garmi ka andaza he na hua, meri zuban se le kr halaq tk sb jl gya. kitni takleef hui. aur main roii bhi nahi. phir mujhay bukhar ho gya. sari raat jism tapta rha. mein kb roi aur kb soi, mujhay nahi pta. sirf do din lagay aur takleef chali gaii.
pta hay ziada dard kion hota hay, jb takleef ho aur aap izhaar na kr skain.

Sunday 12 November 2017

kia sochtay rehtay ho
ankhoN se btao na
kia khojtay rehtay ho

Saturday 28 October 2017

Wo tu pathar pe bhi guzray na Khuda honay tk
jo safar mainay na honay se kia honay tk

zindagi is se ziada tu nahi umr teri
bs kisi dost k milnay se juda honay tk

ab koi faisla ho bhi tu mujhay kia lena
mein tu umroN se hooN masloob, saza honay tk

ae Khuda! teri mashee-at bhi tu shamil ho g
aik achay bhlay insaN k bura honay tk

Sunday 16 July 2017

میرا ذکر پڑھنے والے _میرا راستہ نہ چن لیں
سر ورق یہ بھی لکھنا مجھے مات ہوگئ تھی

For years
I beleived
in 
disappointment and hopelessness.
I lived in my murky thoughts, utmost depression and betrayel.
but somewhere inside me I prayed. 
That prayer, a very weak link to Allah (SWT) was a belief.
that link was life.
Sometimes, I think Allah SWT brought me to light, just because I prayed. And the same moment I realize I prayed only because Allah SWT wanted to give me Hidayat.
He knows the worst in me, my thoughts, my practices but even then he didn't abandon me for that long. He has right timings for us, now I realise. I understand everything every incident happened for a reason. His story of Sobia Ehsan is perfect. I thought I am a failure. But I am not. He has chosen me to bear His light. How can I be unsuccessful?
Pagal ankhon wali larki!
Itne mehnge khawab na dekho_
Pachtao gi!!
Soch ka sara ujla kundan
Zabt ki rakh mein ghul jaye ga
Kachey pakkey rishton ki khushbo ka resham
khul jaye ga-!!
Tum kia jano?
Khawab, safar ki dhop ke taishey
Khawab, adhori rat ka dozakh
Khawab, khiyalon ka pachtawa
Khawabon ki manzil ruswai!
Khawabon ka hasil tanhai!!
Tum kia jano?
Mehnge khawab kharedna hon to
Ankhien bechna parti hain Ya
Rishte bholna parte hain
Andeshon ki rait no phanko
Piyas ki aot sarab na dekho
Itne mehnge khawab no dekho--!!
Thak Jao Gi!!

From,
Safar Ki Sham

Tuesday 4 April 2017

Shopping Craze

kabhi tu khali jaib ka bharam khwahish ki ghair mojoodagi se rakha jata hay
aur kabhi khwahish ki adm mojoodgi ko khali jaib k bahana bna kr taalna parta hay

Sunday 19 March 2017

Secret

dil se nikaal k dil main rakh!
apni baat pe
khud he ro kr
aansoo poonch.

Wednesday 8 March 2017

Aansoo


jinhoN ne is ko janam dia tha
wo ranj tu maslehat k hathoN
na janay kb qatl ho gaye thay
tu krta phir kis pe naaz aansu
k ho gya be-javaz aansuu
yateem aansu yaseer aansu
na mo'tabar tha
na raastoN he se ba-khabar tha
to chalte chalte
vo tham gya tha
ThiThak gya tha
jhijhak gya tha
idhar se aaj ik kisi ke ġham ki
kahani ka karvaN jo guzra
yateem aansu ne jaise jaana
k is kahani ki sar-parasti milay
tu mumkin hai raah paana
tu ik kahani ki ungli thamay
Usi k gham ko rumal krta
isi k baray mein
jhootay sachay saval karta
ye meri palkoñ tk aa gya hai