Sunday 8 November 2015

Band Muththi

"suno sister!
kabhi ye apni ankhain kholti bhi hain?
kabhi kuch bolti bhi hain?"

"nahi sahib!
mukammal taur pr ghayab hain ye giyara mahinoN se
yehi ik dhonkni hay saans ki, jo chalti rehti hay
..... ye taar-e-zindagi ab toot he jaye tu behtar hay.
najanay kis trha ye seedhi muththi band kr li hay
buhat koshish ki sb nay, pr natija kuch nahi nikla
mujhay lgta hay in ki jaan hay is band muththi main"


......

wo apna thar-thrata hath us muththi pe rakhta hay
aur ik namkeen qatra, band muththi pr tapakta hay
havaas-e-khamsa k sakat samandur mein 
kahin pr lehr uth.ti hay
larazti ungliyan ik doosray se baat krti hain
ulajhti saaans ki awaz madham hoti jati hay
wo muththi khulti jati hay

No comments:

Post a Comment