Tuesday, 14 October 2014

Nasoor

kuch bhi tu sahi say nahi ho rha. na deen, na duniya. na din, na raat. na parhai na awargi, na dosti, na muhabbat, na rishta dari na ghardari. dil kahin bhi nahi lagta. sonay ka waqt ho tu neend nahi aati, din charha ho tu thakan se choor, adam bezar ho kr bister per girnay ko jee chahta hay. 
kehtay hain soch main, qol main aur fael main tazad ho tu skoon e qalb muyyasar nahi aa skta. zameer mutmain na ho tu skoon ki neend nahi aati. khwa ma khwa he log mukafat e amal ki baat krtay hain. kl kuch nahi hona. sab kuch aaj hona hay, kl jug nahi kr jug hay ye, yahan din ko day aur raat ko lay
kehtay hain k pachtaway had se barh jaien tu insan dewangi ki taraf janay lagta hay. duniya se kinara kash honay lgta hay aur khali dimagh mein siwaye wehshat k aur koi cheez ghar nahi krti. pta nahi dewanay log kesay hotay hongay aur pta nahi wehshat main log kia krtay hon gay.
kisi hadith ka mafhoom hay k logon pr aik zamana aye ga k wo din k aik hissay main iman pr hongay aur doosray hissay main is k barkhilaf. shayad wo zamana aa gya hay, din k kuch hison main man maani krnay walay log raat k akhri kinaron main apnay gunahon pr sharmsaar hotay hain. aur raat ki siyahi main chup kr gunah krnay walay din k ujalon mein beth kr apnay daman k dagh dhotay rehtay hain.
kehtay hain 23 se 30 saal ka umr ka hissa buhat lamba hota hay. aur 30 se 40 saal honay main daer nahi lagti. ya tu ye k zindagi nahi guzar rhi hoti aur waqt hath se nikalta jata hay aur kahan ye k waqt nahi guzarta aur zindagi guzar jati hay.
aesa kion na ho, khobsoorat khwab bun'nay main, un main muhabbat k rung bharnay main, umeed  ka diya jalaye rakhnay main, aur phir un ko toot'ta bikhrta dekhnay main, kirchiaN chun'nay main, zakhm sehlanay main, ronay main aur phir ro dho kr khamosh honay main waqt tu lagta hay na. shayad isi thehrao ka naam sabr hay. jb koi daleel na bachay tu isay Khuda ki maslehat jaan.nay main he aafiyat hay, k jo hota hay achay k liay hota hay.
mainay suna hay k Khuda us qom ki halat tb tk nai badalta jb tk insan khud apnay aap ko sudharna nai chahta. phir ye bhi k haalaat nahi badlaingay jb tk un se sabaq na seekha jaye. 
Mayoosi kuch bhi nahi hoti, siwaye ye k aap un logon main uth'tay beth'tay hain jinhon nay apko shikast khorda tasleem kr lia hay. kuch log apni nakamioN ka badla isi trha letay hain k doosroN ko bhi disheart krain. mayoos insan doosray logon ko kuch nahi deta siwaye mayoosi k. nakami moat tu nahi hoti, phir issay zindagi ka ikhtetam kion tasawur kia jata hay. log nakam honay se itna dartay kion hain? aur draatay kion hain? 
zindagi k 4 saal deemak ki trha hr cheez tabah kr gaye. koi b nahi roya. na zalim na mazloom. ye jo log zakhm se khoon rista dekh kr jonk ki tarha chimat jatay hain na ye kabhi zakham bharnay nahi detay. zindagi main skoon aur itmenan ko mayoosi aur nakami k iwaz bech dia jaye tu khushi kahan se milay g. koi saahir hay, qaid nahi krta, azadi k geet sunata rehta hay.... pr main urr nahi pati. janay ye kia talism hay aur kb tootay, kb meri rehaai ho.
S. EA

No comments:

Post a Comment