Saturday, 11 October 2014

In pursuit of forgiveness

Mujhay ye shoq tha k hmain duniya main bhi milna hay aur ye sath aesa ho k ham jannat main bhi aik doosray k sath hon. Phir shoq ko kuch be yaqeeni aur kuch yaqeen honay laga k duniya main milain na milain hmain aakhirat main milna hay. Aik khwahish jo jarrain pakarti gaii k Allah Jee Jannat main tu sb duaien poori karaingay. So main Khuda say tumhara sath maang loongi.

Waqt ki lehrain sb kuch baha kr lay jati hain ma-siwaye aadhay adhooray naqoosh k jo na tu theek say bantay hain na mit.tay hain. ye bhi aesi he koi shabeeh hay kisi aesay shakhs ki jis ko naaz tha apni paakeezgi pr, yaqeen tha khud k seedhay rastay pr, fakhar tha apnay khaloos pr aur shayad ghumand tha apnay kirdaar pr. phir wo shabeeh kabhi mukamil nahi honay paii. bhla ye koi baat hay k seep ka moti is baat pr ghumand kray k ussay aaj tk kisi nay nai chooa. abhi tu sonay ko kundan honay k liay aag main buhat sa dehkna baqi tha. phir kesa naaz. phir kesa ghuroor.

wo matti ki dheri, gharoor k qabil nahi thi aur usay aesa krna raas bhi nahi aaya. thokar lagi. kuch toota kuch bikhra pehli thokar hoti he is liay hay, k kuch toot jaye ander he ander, kuch bikhar jaye, magr sambhlnay ki gunjaish k sath. lekin is k baad koi moqa nahi hota sambhalnay ka. doosri thokar tu mukammil bakhair deti hay, choora choora, reza reza wajood, saari zindagi kirchian chun'nay aur wapis asl khaka bnanay main lag jati hay. aur himmat nahi rehti, irada nahi rehta simatnay ka sambhalnay ka.

Kehtay hain k jannat main wohi log dakhil hongay jo Allah k farman.bardar hain. Mujhay kisi shoq, kisi khwahish ka armaan hay na zid. jb darmiyan main kuch baqi he na bachay tu phir milnay milaanay salam dua krnay ka faida. Mujhay sakht preshani ho rhi hay. Mayoos nahi hoon pr fikr lahaq hay. kia main kabhi is muqam pr kharri nai hoongi k main jo maangooN Allah jee day dain.

Sobia

No comments:

Post a Comment